Category: Ramadan SMS | Total views: 1,466 | characters: 708


Hazrat Abu Hooraira(ra) nay Hazoor(saw) say nakal kia k meri ummat ko ramzan k baray may 5 cheezain makhsoos tuur pay dee gaey hain jo pehli umaaton ko nahi mili,

1)Ya k un k moo ki baadboo Allah k yahan mushk say ziyada pasandida hay.

2)Ya k in k liay samandaar ki maachliyan bhi dua kerti hain aur aftaar tak kerti rehti hain.

3)Jannat her roz in k liay araasta ki jati hay phir Allah fermatay hain kay
kareeb hay k meray naik baanday duniya ki mushakatain apnay opper say phaink ker teri taraf awain.

4)Iss may saarkash shayateen qaid kerdiya jatay hain k woh ramzan may un booraeyoon ki taraf nahi poohinchtay jin ki taraf ghair ramzan may poohonch saktay hain.