Category: In Honour of Hazrat Hussain, Muharram SMS | Total views: 1,328 | characters: 1304
Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna
.
.
Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni Aankho’n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna
.
.
.
Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde
Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao’n
Ki Jhaalaro’n Par Hussain liknna
.
.
.
Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna
.
Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna
.
Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna
.
Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo’n Ka Naam Likhna
Tou Sab se Opar Hussain liknna. .


