Category: Muharram SMS | Total views: 296 | characters: 469


Dil ki basti mein karbala barpa
Lashay yadon k khaak mein ghiltan

Kheima-e-Fiqr zad pe shoalon ki
Harf sajda kunan hain honton per

Har taraf al-atash ki awazein
Maan nezon pay hain tarazu huey

Dharkno k galu pay khanjar hai
Khab k sar say chin chuki hai rida

Bain uthtay hain dil ki nagri say
Pyar ki alqama pay pehray hain

Zeest ko daan abla pai
Dast-e-Qatil mein zulf subha ki

Ashk arzan huey hain palkon pay
Phir Muharram kaa chand nikla hai