Latest SMS jokes / text Messages






Category: Ghazal SMS | Total views: 7 | characters: 575

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain,

Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain,

Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.


Category: Ghazal SMS | Total views: 2 | characters: 266

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota


Category: Ghazal SMS | Total views: 1 | characters: 283

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n

vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n




Category: Ghazal SMS | Total views: 11 | characters: 262

Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.
Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.


Category: Ghazal SMS | Total views: 4 | characters: 531

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….